Tuesday, June 19, 2018

Baro'n Ko Deen Sikhane Ka Tareeqa



Ek Din Ka Zikr Hai,

Hazrat HASAN (r.a.) Or Hazrat HUSSAIN (r.a.) Abhi Chote The
Unke yaha'n ek baddu aaya
Baddu bilkul dehati or gawar tha
Wazu ka sahi tareeqa bhi nahi janta tha

Namaz ka waqt hua,
Baddu wazu karne baitha
Janta toh  tha nahi
Galat Salat wazu karne laga
Un dono ne dekha
Deen ka mu'aamla tha
Galat par tokna zaroori tha,

Magar toke kis tarah
Baddu umr mei'n un dono se bahut barha tha
Barho'n ko khullam khulla tokna beadbi thi
Mumkin hai Baddu bura maan jaata,


Akhir dono ko ek tarqeeb soojhi
Lote mei'n pani lekar
Wazu karne baith gye
Or Baddu se bahut adab se kaha,


Barhe Miya'n !
Hum dono bhai wazu kar rahe hai,
Zrra dekhiye,
Hum log theek se karte hai
Agar Galat kare toh bata dijiyega

Yeh kehkar dono ne sahi tareeqe see wazu kiya
Baddu gaur se dekhta raha
Iski samajh mei'n agya ki
Wazu karne ka sahi tareeqa kya hai


Is tarah se un dono ne
Un dono ne apne se zyada umr ke
Aadmi ko deen ki ek baat btadi
Sawaab ka Sawaab mila
Or Baddu ko bura bhi nahi laga

Subhan'Allllhh

No comments:

Post a Comment