Tuesday, June 19, 2018
Walidayen Ki Khidmat
Hazrat SHARFUT UDDIN rehmatullah Alai,
Ek buzurg guzre hai
ALLAH ki aap par rehmat ho
Aap apne abba miya'n
Or ammi jaan ka barha adab karte the
Hamesha unka hukm mante
Or unki khidmat k liye taiyar rehte the
Ek din ki baat hai
Aap abhi chote se the
Ammi jaan chaar paai pe leti thi
Ittefaaq se unhe pyaas lagi
Aap se boli.
Beta ! Mujhe pyaas lagi hai,
Zrra ek katora pani pilado
Aap katora lekar
Daude hue pani lene gaye
Garhe se pani undel kar
Laute toh dekha ki
Ammi Jaan ki aankh lag gayi hai
Ab kya kare !
Agar jagate hai toh
Ammi Jaan ko taqleef hoggi
Isliye unhone jagana
Munasib na samjha
Pani ka katora hath mei'n liye
Sirhaane khare rahe
Ki najaane kab Ammi ki ankh khul jaye
Or wo pani maang le
Raat ka barha hissa guzar gaya
Aap isi tarah pani liye khare rahe
Akhir Ammi ki ankh khuli
Kya dekhti hai ki
Aap paani ka katora liye khare hai
" Beta ! Kya tum us waqt se ab tak khare ho" ?
Ha Ammi Jaan ! Mai us waqt se khara hu'n
Taki jab aapki ankh khule,
Pani pesh karunga
Aapne barhe adab se kaha
Yeh jawab sunker Ammi Jaan bahut khush huyi
Ache bete ko dua di,
Chunancha Barhe hokar aap
Bahut barhe wali ALLAH hue
Subhan'ALLAH
Labels:
Hadith
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment