Monday, June 25, 2018

Hazrat NIZAM UDDIN

Rawayet 15 Rehtul Quloob Mei'n Hai, Hazrat NIZAM UDDIN Ne Likha Hai--- Ki


Ek waqt Hazrat Sallalah Alaihi Wasallam majma'a yaraan mei'n baithe hue the ki
Itne mei'n hazrat Mavia yazeed layeen ko apne kandhe par sawaar kiye le ja rahe the
Hazrat Sallah Alaihi Wasallam ne dekha or muskura kar farmaya SUBHAN'ALLAH 
Do zakhi bahishti ke kandhe par charha jata hai, ameerul momineen Hazrat Ali (r..a) ne suna or pucha Ya RASOOL Lallah (s.a) Hazrat Mavia Ke Bete Ko Apne Do zakhi kaha se farmaya,
Aapne Farmaya aye Alli ye yazeed badbakht hai ki hassan or hussain merre nurain ko marega 

Or saari aulad ko humari sharbat shahadat pilayega, jab Ameerul Momineen Alli ne ye haal suna toh gusse se sar ko dhuna chaha ki baap bette dono ko maar dale Hazrat (s.a) ne roka Alli Gussa na karo taqdeer ilahi isi par jari hui tumko mukhalfat taqdeer ki na chahiye Hazrat Alli (r.a) rone lage or pucha ya RASOOL Lallah Aap uss din rahenge farmaya nahi fir pucha Fatima ZEHRA rahengi farmaya nahi fir pucha mai rahunga irshaad hua nahi Ya RASOOL LALLAH taziyat in beqaso'n ki kaun karega Hazrat SALLAH Alaihi Wassallam ne dono shehzado ko god mei'n lekar farmaya aye gareeban mai nahi janta ki haal tumhara uss din maidan karbala mei'n kaisa hoga,

Or fir Aapne Jibrail Ami se pucha ki jab hum logo'n mei'n se koi na rahega tab taziyat in gareebo'n ki kaun karega Jibrail Ami ne kaha YA RASOOL LALLAH taziya shehzado'n ki aahuvaan dashti or imteyan or farzan dane or matta baan aapke karenge uss din  aahuvaan bacho'n ko doodh na pilayengi...


please share   

No comments:

Post a Comment