RAWAYET 14 HAI KI JAB SAN SHAREEF 5 BARAS KA HUA EK DIN EID KE ROZ,,,
Subah Hazrat (s.a.w) Janaab Saiyeda Khatoone Jannat ke ghar tashreef laye, dekha ki aap ghamgeen baithi ro rahi hai beqarar ho rahi hai Hazrat ne farmaya aye jigar goshaye aaj eid ka din khushi ka din hai kaho tumko kya gham hai, farmaya baba jaan Fatima ki jaan aap par qurbaan ho aaj eid ka din hai, or inn dono saheb zado'n HUSSAIN Or HASSAN (r.a) ke larhak pann ka san hai kapre unke purane ho gaye hai, naye mangte hai hai, har chand samjhati hoo'n mante nahi hai mere tang dasti ka haal jante nahi,
Hazrat (s.a.w) sunker mutaamil hue itne mei'n jibrail Alahissalam aaye or do jorhe bahishti kapre unke qado qamat ke muafiq sile hue sath laye or arz ki YA RASOOL LALLAH aap malaal na kijiye saheb zado'n ke ye hule bahishti pahenne ko dijiye aapne HAZRAT SAIYEDA se farmaya aye jigar goshaye apne hujre mei'n jaao or jo chiz hujre mei'n rakhi hai utha laao, Hazrat SAIYEDA ne farmaya abhi mei'n se aai hoo'n hujre mei'n kuch chiz nahi hai Aapne farmaya jigar goshaye mann abhi jibrail khabar laye hai ki Hasnain Nurain ke liye bahishti khila'at hum hujre mei'n rakh aaye hai,
Wo saheb zade ko pahenne ko dijiye, Hazrat SAIYEDA hujre ke andar tashreef laayi kya dekhti hai ki waha ek tasht chandi ka rakha hai uss par do jorhe anmol barhe naqaf se saje sajaye rakhe hue hai,
Or usme ja baja do gul boote HASSAN OR HUSSAIN ke bane hue hai aapne uss tasht ko lakar Hazrat ke hawale kiya, Hazrat ne ek jorha Hazrat IMAAM HASSAn (r.a) ko Or ek jorhaa IMAAM HUSSAIN (r.a) ko diya, da ke paas se tumhari eid aayi hai dekho tum per kya fazl kibriaayi hai...
Please Share
No comments:
Post a Comment