Saturday, June 30, 2018

HAZRAT ADAM ALAHIS SALAM

Hazrat Adam (a.s) Sabse Pehle Insan Hai

Jinko ALLAH ta'ala ne
duniya mei'n bheja or sabse pehle nabi aap hai, aap hi ki aulaad saari duniya mei'n faili
Aapka zikr QURAN pak mei'n 19 baar aaya hai jab ALLAH ta'ala ne duniya ko abaad karne ka irada kiya toh usne farishto'n se kaha mai apna ek nayeb khalifa banana chahta hu, farishto'n ne kaha aye Allah tu duniya mei'n aise shaks ko nayeb banana chahta hai jo khrabiya'n kare or khoon karta fire, hum teri tareef karne ke sath teri tasbih or paaki bayan karte rehte hai ALLAH ta'ala ne farmaya mai wo batei'n janta hu jo tum nai jante ALLAH ta'ala ne hazrat Adam (a.s) ko sab cheezo'n ke naam sikha diye fir unko farishto'n ke samne kiya, or farmaya agar tum sache ho toh mujhe unke naam btao unhone kaha ki tu paak hai jitna ilm tune humko baksha hai uske siwa humko kuch nahi maloom fir ALLAH ta'ala ne farishto'n ko hukm diya ki tum ADAM (a.s) ko sajda karo toh wo sab sajde mei'n gir parhe magar shitaan ne sajda nahi kiya !!
Uska zikr pehle bhi aaya hai ALLAH ta'ala ne hazrat ADAM (a.s) se kaha ki tum or tumhari biwi jannat mei'n raho or jaha se chaho khao piyo magar ek khaas darakht ke muta'alikh hazrat Adam (a.s) ko mana kar diya ki uske qareeb bhi na jaana warna tum bhi zaalimo'n se ho jaoge is tarah Allah ta'ala ne Adam (a.s) ka imtehaan liya ki dekhe ye hamara kehna maante hai ya bhul jate hai or shaitan ke behkaye mei'n aa jate hai,

            Shaitan jo pehle hi Hazrat ADAM (a.s) se naraz tha ki unki wajah se wo khuda ta'ala ke darbaar se nikla or khuda ta'ala ki laanat usper hui or usne qasam khai thi ki mai Hazrat ADAM (a.s) or uski aulaad ko qayamat tak behkaata rahunga ki ALLAH ta'ala ka kehna bna maane or khoob buraiya'n fehlaye, wo hazrat ADAM or unki biwi Hazrat Hawwa (a.s) barabar behkaata raha ki is darakht ka fal tum zaroor khaao uske khane se tum farishta ban jaaoge jannat mei'n se kabhi na nikloge, Akhir ek din Hazrat ADAM (a.s) or unki biwi Hazrat Hawwa bhool se shaitan ke behkaye mei'n agye or darakht ka fal kha liya fal khate hi dono nange ho gaye or jannat ka libaas unke badan se gayeb ho gaya or wo jannat ke patto'n se apne badan ko chupane lage,,,

             ALLAH ta'ala Hazrat ADAM (a.s) se kaha humne keh diya tha ki is darakht ke paas bhi naa jana or shaitan ke kehne mei'n naa aana wo tumhara dushman hai tum uske kehne mei'n agaye, ab tum or Hawwa jannat se chale jaao or duniye mei'n jake raho,,,

            Hazrat ADAM (a.s) ko jannat se nikalne or shitan ke behkaye mei'n aane ka bahut ranj hua or bahut arsa tak ALLAH ta'ala se maafi mangte rahe or rote rahe ki ALLAH ta'ala mujhe maaf karde, akhir ALLAH ta'ala ko rahem aaya or Hazrat ADAM (a.s) ko ye dua sikhai ki aye hamare rab humne apne upar zulm kiya or tu humpar rahem nahi karega toh hum barha nuksaan uthane walo'n  mei'n se ho jayenge toh Hazrat ADAM (a.s) ne ye dua bahut girgirake mangi or ALLAH ta'ala toh bahut rahem karne wale hai, jab koi banda gunah kar leta hai or sache dil se toba kar leta hai ki ye gunah toh mujhse galti se ho gaya aainda aisa na karunga toh wo maaf kar dete hai chunaancha Hazrat ADAM (a.s) ko bhi ALLAH ta'ala ne maaf kar diya or fir kaha ki tum or tumhari aulad duniye mei'n hi raho or ye baat yaad rakho ki jab meri taraf se koi nabi meri hidayet lekar tumhare paas aaye toh tum uska kehna manna jo merre bheje hue nabiyo'n ka kehna manega usko fir na koi khauf hoga or na gham hoga or jo log meri nabiyo'n ki baat ko nahi manenge or humari aayeto'n  ko jhutlaayenge wo dozakh mei'n jayenge or hamesha usi mei'n rahenge,,,

              Uske baad Hazrat ADAM (a.s) or Hazrat HAWWA (a.s) duniya mei'n rehne sehne lage, khoob jee lagakar ALLAH ki ibaadat karte unki bahut aulaad hui or duniya mei'n sab jagah abaad hoti rahi, Hazrat ADAM (a.s) ko yhi baat batlaate rahe ki tum kabhi shaitan ke behkaye mei'n na aana wo humara dushman hai or humko buri batei'n karne ke liye behkaata rehta hai, hamesha ALAH ki ibadat karna sach bolna kisi pe zulm na karna ek dusre ki neik kaamo'n mei'n madad karte rehna, akhirkaar Hazrat ADAM (a.s)  900 saal zindah rehkar wafaat paa gaye----

No comments:

Post a Comment