Quran majeed mei'n hazrat ADAM (a.s) ke 2 beto'n Qabeel wa Habeel ka qissa hai ki
Hazrat ADAM (a.s) or Hawwa (a.s) se bahut aulad hui, unhi mei'n se 2 bache Qabeel wa Habeel the, Qabeel barha larka tha lekin ye maa baap ka kehna nahi maanta tha, Habeel chota bhai tha jo maa baap ka kehna maanta tha, Aqlima ek larki thi jisse Qabeel shadi karna chahta tha magar Hazrat ADAM (a.s) uski shadi apne chote bete Habeel se karna chahte the, jo neik or shareef tha isliye Qabeel apne maa baap or bhai ka dushman ho gaya ALLAH ta'ala ne hukm ki tum dono Qurbani karke pahaarh par rakh aao jiski qurbani qubool hogi uski Aqlima ki shadi ki jayegi, ALLAH ta'ala ko apne neik bande pasand hote or wo unki madad karta hai, aasman se ek aag aai or Habeel ki qurbani ko le gayi yani Habeel ki qurbani qubool ho gayi ab uske bhai Qabeel ko bahut gussa aaya usne Habeel se kaha ki mai tumko qatl kar dunga,,,
Habeel ne kaha, ALLAH neik bando'n ki qurbani qubool karta hai agar tum mujhse laroge toh mai tumpar hath nahi uthaunga akhir ek din Qabeel ne Habeel ko qatl kar diya---
Duniya mei'n ye pehla qatl tha jo Qabeel ne apne bhai Habeel ka kiya, qatl karne ke baad Qabeel ko fikr hui ki Habeel ki laash ka kya kare kiss tarah chipaye, usne dekha ki ek kawwa chonch se zameen khod ko ek dusre mare hue kawwe ko dafn kar raha hai, tab usne bhi apne bhai Habeel ko zameen khod kar dafn kar diya or khud jaker aag ki pooja karne laga Hazrat Adam (a.s) ko bahut ranj hua Qabeel wa Habeel dono bhaiyo'n ke jhagre se humko sabaq lena chahiye humara haqeeqi bhai ya musalmaan bhai agar humpar zyadti kare toh behtar yeh hai ki hum sabr kare or apne bhai par hath na uthaaye Qabeel ne apne ko qatl kiya, qayamat tak log uspar laanat karte rahenge or akhirat mei'n ALLAH ke azaab ka mustaheq hua, or Habeel ko qayamat tak log acha kehte rahenge or wo jannat ka waris hua...
Share Please
No comments:
Post a Comment