Hazrat ADAM (a.s) ki aulad duniya mei'n khoob barhi aahista aahista ye khuda ko bhoolte gaye jisne usse paida kiya tha or jo unko palne wala hai, or shaitan ke behkaye mei'n aane lage jisne Hazrat ADAM (a.s) ko jannat se nikalwa diya tha,
Shaitan behkaye mei'n aakar ye log buto'n or aag sooraj wagirah ko poojne lage or ek khuda ke bajaye mitti or patthar ke bahut se khuda bana liye apne hath se apna khuda banate or fir unse mangte, halanki ye mitti or pathar ke khuda apne liye bhi kuch na kar sakte the unke liye kya karte ALLAH ta'ala ne jo apne bando'n se barhi Mohabbat rakhta usko ye kabhi gawara nahi ki uske bande shaitan ke behkaye mei'n aakar ALLAH ke alava kisi or ki ibadat karne lage or uski sazza mei'n marne ke baad dozakh mei'n jale,
ALLAH paak ne Hazrat NOOH (a.s) ko apna nabi banakar bheja us zamane mei'n logo ki umrei'n bahut barhi barhi hoti thi Hazrat NOOH (a.s) 950 saal tak apne qaum mei'n waaz karte rahe ki aye logo'n ! sirf ek ALLAH ki ibadat karo or mera kaha mano wo tumhare gunah baksh dega,
Lekin logo ne Hazrat NOOH (a.s) ki bato'n ko na mana or apne kano mei'n usngliya'n de li or kapre orh liye taaki Hazrat NOOH (a.s) ki awaaz kaano tak na pahuche, Hazrat NOOH (a.s) himmat na haare wo barabar samjhate rahe,,
Or kehte rahe ! aye logo'n ALLAH se maafi mango mafi mango wo barha maaf karne wala hai or tumpar aasman se barish barsayega taaki tum khoob anaaj paida kar sako or uske zariya se barhe barhe baag paida kar dega,
Un mei'n nehrei'n paida kar dega, tumhei'n maal-o-daulat dega or bete dega, tumhei'n kya ho gaya hai ki tum khuda ko nahi mante, halanki usne aasman banaye chaand or sooraj banaye, usne tumko mitti se paida kiya or fir ussi mitti mei'n tum ek din mil jaoge or fir qayamat ke din ussi mitti se tumko dobara zinda kar dega lekin logo'n ne apne butto'n ko nahi chorha , or Hazrat NOOH (a.s) se kehne lage ki hum apne butto'n se kehne lage ki hum apne butto'n ko hargiz nahi chorhenge,
Or hum tumko apne jaisa aadmi hi dekhte or tumhara kehna hi chand gareeb logo'n ne maana or hum toh tumko jhutha samjhte hai-
Hazrat NOOH (a.s) ne kaha ki aye merri qaum mai tumko jo nasihat karta hoo'n uske badle mai tumse koi maal-o-daulat nahi chahta or jo gareeb aadmi musalman hue hai or ALLAH par iman laye hai unko mai apne paas se tumhare kehne se nikalunga nahi, agar mai unko apne paas se nikaal du'n toh khuda ke azaab se mujhe kaun bachayega agar mai aisa karunga toh bahut na insaaf ho jaunga,
Unki qaum ke logo'n ne kaha aye NOOH (a.s) tumne humse jhagra bahut kar liya, agar tum sache ho toh jis azaab se tum humko darate ho wo le aao Hazrat NOOH (a.s) ne kaha jab ALLAH paak chahenge azaab le ayenge,
ALLAH ta'ala ne Hazrat NOOH (a.s) ko wahhi ke zariya se hukm bheja ki tumhari qaum mei'n jo log imaan laa chuke hai, usnke alaava or koi imaan nahi layega, tum gham na karo ek kashti banao, Hazrat NOOH (a.s) ne khuda ke hukm ke mutabiq kashti banani shuru ki toh jab unki qaum ke sardar unke paas se guzarte toh unko kashti banate hue dekhte toh unka mazaak urhate,
ALLAH Ka Azaab
Hazrat NOOH (a.s) unke mazaak ke jawab mei'n kehte ki aaj mazaaq karlo kal jo tumhare upar azaab ayega toh us waqt hum tumhara mazaaq urhayenge akhir ALLAH ta'ala ka azaab uske wade ke mutabiq aaya, zameen se pani nikalna shuru hua, or aasman se barish aani shuru hui,
ALLAH ta'ala ne hazrat NOOH (a.s) ko huqm diya ki sab jaanwaro ka ek ek jorha kashti mei'n sawaar karlo or jo log tumhare upar imaan laye hai yaani musalmaan ho gaye hai unko sawaar karlo, Hazrat NOOH (a.s) ne uss kashti mei'n sawaar hone walo'n se kaha ki ALLAH ta'ala ka naam lekar uss kashti mei'n sawaar ho jao ki uska chalna or thaherna ussi ke hath mei'n hai, or ALLAH ta'ala barha bakshne wala meherbaan hai-
Kashti unn sabko lekar lehro'n mei'n chalne lagi toh uss waqt Hazrat NOOH (a.s) ne apne bete se kaha aye beta hamare sath sawaar ho jaao, or kafiro'n ke sath mat ho, usne mai kisi pahaarh par chharh jaunga, or wo paani se bacha lega Hazrat NOOH (a.s) ne kaha ki aaj khuda ke azaab se siwaye khuda ke koi bachane wala nahi,
Itne mei'n dono ke darmiyaa'n ek paani ki laher uthi or wo doob gaya , fir khuda ta'ala ne zameen ko huqm diya ki apni paani nigal jaa or aasmaan ko bhi huqm diya ki paani barsaana band karde yaha'n tak ki paani khushk ho gaya or tamam kafir duniya mei'n khatm kar diye gaye,
Hazrat NOOH (a.s) ki kashti kohe joodi mei'n thehri, Hazrat NOOH (a.s) ne apne parwar digaar se arz kiya ki aye mere rab mera beta bhi mere ghar walo'n mei'n se hai, or aapka waada sacha hai, Hazrat NOOH (a.s) ka matlab tha ki aye ALLAH aapne waada farmaya tha ki tere ghar walo'n ko uss toofan se bacha lunga fir mera beta Q dooba toh khuda band ta'ala ne farmaya ki aye NOOH tera beta tere ghar walo'n mei'n se nahi tha,
Q ki uske amal ache nahi the mai tujhko nasihat karta hu'n aisi baat na kar jo ilm mei'n nahi ( isliye ki kun'aan ALLAH ke ilm azli mei'n kafir tha, or ye baat NOOH (a.s) ke ilm mei'n na thi ) Hazrat NOOH (a.s) ne ALLAH paak se tauba ki or apne kehne ki maafi chahi ALLAH paak ne usko maaf kar diya ki aye NOOH hamare taraf se salamti or barkato'n ke sath utar,
Uske baad Hazrat NOOH (a.s) ki ummat duniya basi or aahista aahista unke baal bache aabad hote gaye, ye sab log ALLAH ta'ala ki atta'at karte rahe zamana guzarta gaya or aahista aahista shaitan ne fir behkaana shuru kiya toh ye log khuda band ta'ala ko bhoolne lage-
Hazrat NOOH (a.s) jo ALLAH ta'ala ke itne barhe paigambar the, apne bette ko uske bure kamo ke wajah se ALLAH ta'ala ke azaab se naa bacha sake iss tarah agar hamare maa baap ALLAH ke kitne hi wali q na ho agar hamare aml ache na ho toh wo humko ALLAH ta'ala ke azaab se na bacha sakenge humko apne buzurgo'n ke neik amal ka sahara nahi lena chahiye,
Balki ALLAH or uske Rasool (s.a.w) ke bataye hue kaamo'n par aml karke neik banna chahiye ussi wajah se ALLAH ta'ala ne Quran majeed mei'n kaha hai ki agar tum ek zarra barabar bhi neki karoge toh uska badla hum tumko denge, or agar ek zarra barabar bhi bura aml karoge toh wo bhi tumhare same aajayega....
Share Please
No comments:
Post a Comment