Monday, July 2, 2018

HAZRAT HOOD (a.s) KA WAQYA

Hazrat HOOD (a.s) Ka Zikr Quran Shareef Mei'n Baar Baar Aata Hai,,


Sooreh e'araaf, Sooreh HOOD or Sooreh Hashar wagairah mei'n iski tafseel maujood hai-

           Hazrat NOOH (a.s) ki aulad muddatto'n tak duniya mei'n basi  or aahista aahista fir khuda ta'ala ko bhool gayi, shaitan ne fir inn ko behka kar butto'n ki pooja par laga diya, khuda wand ta'ala jo apne bando'n par barha rahem karne wala hai,

Iss ne fir Hazrat HOOD (a.s) ko apna paigambar bana kar inn logo'n ke paas bheja, or unho ne apni qaum se jo 'aad' kehlaati thi, kaha ki tum khuda hi ki ibadat karo uske siwa tumhara koi ma'abood nahi hai, mai tumse iss waaz or nasihat ke badle koi mazdoori ya ujrat nahi mangta mujhe iska badla toh wo dega,

Jisne mujhe paida kiya hai, or aye merri qaum tum apne rab se bakshish mango or usse tauba karo, wo tumhare liye mehna barsayega jisse tumhare khet or bagaat ache honge or tumhari taaqat bahut barha dega-

                 Wo bole aye HOOD hum tumhare kehne se apne buttu'n ko nahi chorh sakte, tum koi nishani dikhaao, hum toh ye samajhte hai ki humare butto'n mei'n se kisi ne tumpar aaseb kar diya hai or tum diwane ho gaye ho Hazrat HOOD (a.s) ne kaha ki tum sab milkar mere liye jo tadbeer karni chaho karlo, or mujhe mohlat bhi na do,

Mai khuda par bharosa rakhta hu'n jo mera or tumhara parwar digar hai, mere hath ALLAH ta'alla ne jo tumhei'n paigam bheja tha wo maine tumhei'n pahucha diya, agar  tum mera kehna na manoge toh ALLAH paak tumhari jagah or logo'n ko bassa dega or tum khuda wand ta'alla ka kuch nuksan nahi kar sakte us par unki qaum ne kaha ki roz tu hame khuda ke azaab se daraata hai,

Ja apne khuda se keh ki humpar azaan nazil kar de or usme hargis der na kare Hazrat HOOD (a.s) par jo imaan laye the wo gareeb or kamzor the, or jo kafir the wo maal daar or sardaar the un sab ne HOOD (a.s) ka mazaak urhaya, aasmaan par ek badal namudaar hua jise dekh kar ye samjhe ki barish hone wali hai,

Hazrat HOOD (a.s) ko ALLAH ta'ala ne bata diya tha ki ye azaab hai, chunacha wo imaandaar logo ko lekar basti se lekar baher chale gaye, uss badal ke baad aandhi aai jo 8 din or 7 raat tak mutwaatir chalti rahi yha tak ki sabkafir marr gaye or nisht-o-nabood ho gaye-

               
               Sirf ALLAH ta'ala par imaan waale hi aqi bach gaye, or iss tarah ek baar fir ALLAH ta'ala ki zameen kafiro'n or mushriqo'n se khali ho gayi...


Share Please

No comments:

Post a Comment