Monday, July 2, 2018

Hazrat Sharfut Deen Ka Waqya (Maa Baap Ki Khidmat)

Hazrat Sharfut Deen Ek Buzurg Guzre Hai....






               Aap par ALLAH ki rehmat ho, Aap apne abba miya'n or ammi jaan ka barha adab karte the.


Hamesha unka huqm mante, or unki khidmat ke liye taiyar rehte the, ek din ki baat hai aap abhi chote se the, Ammi jaan chaar paayi pe leti thi, ittefaaq se unhe pyaas lagi wo aap se boli beta mujhe pyaas lagi hai zarra ek katora paani pilado,

Aap katora Lekar daurhe hue paami lene gaye, garhe se paani undel kar laute toh dekha ki ammi jaan ki aankh lag gayi hai, ab kya kare agar jagate hai toh ammi jaan taqleef hogi, isliye unhone jagana munasib na samjha, paani ka katora haath mei'n liye sirhaane khare rahe ki najaane kab ammi jaan ki aankh khul jaye or wo paani maang lei'n, raat ka barha hissa guzar gaya aap isi tarah paani liye khare rahe, aakhir ammi jaan ki aankh khul gayi or kya dekhti hai ki aap paani ka katora liye unke sirhaane khare hai, unhone aap se pucha beta kya tum uss waqt se ab tak khare ho ! Aapne kaha haa ammi jaan mai us waqt se khara hu taaki jab aapki aankh khul jaye toh paani pesh karunga,,,


                   Aapne barhe adab se kaha, yeh jawab sunkar aapki ammi jaan bahut khush hui unhone aapko dua di.
Chunancha aap barhe hokar bahut barhe Walli ALLAH hue


Mohtaram Bhaiyo'n Buzurgo'n aaj hum duniyadaari mei'n itne mashgool ho gaye hai ki apne maa baap ka adab karna bhul gaye hai ,

Merri aap sab se guzarish hai ki apni maa baap ki izzat wa adab kiya kare....


Share Please.........



No comments:

Post a Comment