Wednesday, July 4, 2018

HAZRAT SALEH (a.s) KA WAQYA

Hazrat HOOD (a.s) ki ummat jo a'aad kehlati thi wo ALLAH ta'ala ke azaab se halaaq ho gayi, or is mei'n ke baqi bache hue log phir se aabaad hue, inki aulaad hoti gayi or barhti gayi,




                         unhone apna naam "samood" rakha, ye log bhi aahista aahista but purasti karne lage or bure kaamo mei'n parh gaye toh ALLAH ta'ala ne in ke paas Hazrat SALEH (a.s) ko ko nabi banakar bheja,

Inhone apni qaum se kaha ki ALLAH ki ibaadat karo, iske siwa tumhara koi ma'abood nahi, or dekho ALLAH ta'ala ne qaum HOOD ke baad tumko sardar banaya or zameen par aabaad kiya, tum zameen mei'n barhe barhe mahel banate ho, or pahaarho ko kaat kaat kar us par bhi ghar taranchte ho, tum ALLAH ki ne'amato'n ka shukr adda karo zameen mei'n fasaad mat failaao---




                        In ki qaum ke ameer or sardaar log jo guroor karte the unhone un gareebo'n se poocha jo Hazrat SALEH (a.s) par imaan le aaye the ki bhala tumko yaqeen hai ki SALEH (a.s) ko ALLAH ne nabi banakar bheja hai un gareeb imaan walo'n ne ki haa'n hum ko yaqeen hai ki Hazrat SALEH (a.s) ko ALLAH ta'ala ne nabi banakar bheja hai, iss par magroor ameer kehne lage ki acha tum imaan laao,

Huhm toh imaan nahi laate, in ameen logo'n ko ye ta'ajub hua ki agar ALLAH ta'ala kisi ko nabi bana kar bhejte toh hum ameer'n mei'n se kisi ko nabi banate-




                       Hazrat SALEH (a.s) barabar ALLAH ta'ala ka paigaam in ko pahunchate rahe magar koi inki na sunta balki ulta mazak urhate the, akhir ! in logo'n ne faisla kar liya ki Hazrat SALEH (a.s) se kaha jaye ki agar sache nabi hai toh is pahaarh mei'n se oontni paida ka dei'n,

Hum aap par imaan le ayenge, or janei'nge ki ALLAH ta'ala toh sab kuch kar sakte hai, ALLAH ta'ala ne Hazrar SALEH (a.s) ki dua qubool ki or ek pahaari se oontni ko paida kar diya, lekin ! in ki qaum yeh sachai dekhne ke baad phir bhi imaan na laai, ye ALLAH ki oontni aisi thi jis chashme par jaker paani peeti thi sab paani khatm kar deti thi, ab toh unki qaum ke log or bhi  pareshan hue, Hazrat SALEH (a.s) ne apne qaum se kaha dekho us oontni ke liye bari muqarrar karlo, ek roz tumhare jaanwar chashmaa se paani piye, or ek roz ye oontni piye, lekin dekho usko buri niyat se hath na lagana, yaani usko taqleef na phuchana or na tumhare haq mei'n acha na hoga---



                         Kuch roz tak toh wo oontni ko hairat se dekhte rahe akhir inki qaum ke chand logo'n ne mashwarah karke oontni ko maar daala,,,

Hazrat SALEH (a.s) ko iski khabr hui, toh aapko bahut ranj hua or inhone apni qaum se kaha ki maine tumko manna kiya tha ki iss oontni ko takleef mat dena or na tum par jald ALLAH ka azaab aayega amagr tum ne na maana, ab tum log apne gharo'n mei'n teen roz  or maze karlo iske baad ALLAH ka azaab ayega jo tum sab ko khatm dega-



                       Chunancha aisa hi hua- ALLAH ta'ala ne Hazrat SALEH (a.s) or un logo'n ko bacha liya jo imaan le aaye the, lekin jo log imaan nahi laye the ek barhi haibat naak or khaufnaak awaaz paida hui jis se wo apne gharo'n mei'n aundhe parhe reh gaye or mar gaye aissa maloom hota tha ki kabhi yaha'n rehte hi na the-



                       Jo log khuda ke hukm par nahi chalte or paigambaro'n ka kehna nahi mante unka yhi haal hota hai, ALLAH ta'ala ne hum sab ko apne azaab se bachaye or apni or apne Rasool ki ata'at naseeb kare- AMEEN

SHARE PLEASE

No comments:

Post a Comment