Wednesday, June 13, 2018

HUZOOR PAK (s.a) KI PEHLI MERAJ

                  Huzoor Pak (s.a.) Ki Meraj



Aap (s.a.) ki umr sharif 51 baras kuch mahine thi ki nabuat ke 11ve saal rajab ki 27 tarikh ko raat ke waqt jab aap hazrat ummeh hanih (r.a.) ke ghar mei'n aram farma rahe the hazrat jibrail (a.s.) ne aaker aapko jagaya or meraj ki khush khabri sunai...





     Fir ek tez raftaar sawari par jiska naam burraq tha Aap (s.a.) ko sawaar karke awwal baitul muqaddas le gaye. Jaha'n par aapne tamam nabiyo'n se mulaqat farmai. Fir waha'n se tamam aasmano'n ko taye karte hue, or dozakh wa jannat ke ajaayebaat dekhte hue ALLAH rabbul a'alameen ke darbaar-e-aali me pahuche ALLAH ta'ala ne aapko apni hum kalami ka sharf bakhsha or usi shab mei'n aapki ummat par namaz farz hui. Fir ussi sawari par sawar hokar wapas tashrif laye, or ye sab palak jhapakte ho gaya, jab aapne subah ko meraj ka haal sunaya toh kafiro'n ne khoob mazaak urhaya ki MOHAMMAD (s.a.) ko dekho ! (nauzbillah) ye aasmaan pe gaye the. Inhone dozak jannat ko dekha baitul muqaddas ki sair ki ''wah khoob'' ! ye ek minute mei'n sab kuch kar aaye, Lekin baaz kuch aadmiyo'n ne waqaya ki tasdeeq ke liye baitul muqaddas or uske raste ke muta'aliq mukhtakif sawalaat kiye jiska jawab huzoor (s.a.) ne bilkul theek theek de diya tab wo lajawab hue, lekin us per bhi jinke dil mei'n kaji thi unhone jadugari batlaai or baa'az khamosh ho gaye hazrat ABU BAKAR (r.a.) ne Huzoor (s.a.) se meraj ke tamam waqyaat sunker AMANNA WASADAQNA kaha, or har baat ke sahi hone ka dil se iqrar kiya usper Aap (s.a.) ne unko SIDDIQUE ka laqab ata'a farmaya...




No comments:

Post a Comment