Showing posts with label HADEES. Show all posts
Showing posts with label HADEES. Show all posts

Wednesday, July 25, 2018

Ibaadat se baaze duniya ke fayde ki hadees urdu hadees

Hadees / Hadith

Islam ki sachi batein

Bayan


Rozi badhna,
tarah tarah ki barqat hona,
taqleef or pareshani door hona,
muraado'n ke poore hone mei'n asaani hona,
lutf ki zindagi hona,
baarish hona,
harr qism ki balah ka tall jana,
ALLAH ka meherbaan madadgaar rehna,
farishto ko huqm hona ki uska dil mazboot rakho,
sachi izzat wa aabru milna,
martabe buland hona,
sabke dilo mei'n uski muhabbat ho jana,
qauran ka uske haqq mei'n shifa hona,
maal ka nuqsaan ho jaye usse acha badla mill jana,
din ba din ne'amat mei'n tarakki hona,
maal barhna,
dil mei'n rahat or tasalli rehna,
aainda nasl mei'n ye nafa pahuchna,
zindagi mei'n gaibi basharte naseeb hona,
marte waqt farishto'n ka khush khabri sunana,
mubarak baad dena,
umr barhna,
iflaas or faaqa mei'n bacha rehna,
thori cheez mei'n zyada barqat hona,
ALLAH ta'ala ka gussa jata rehna...


Share Please...




Saturday, July 21, 2018

Gunaaho se baaze duniya ke nuksaano ka bayan

Hadees / Hadith

Islam ki sachi batein

Bayan


Ilm se mehrrom rehna,
rozi kam ho jana,
khuda k yaad se gaafil hona,
aadmiyo se wehshat ho jana, khaaskar neik aadmiyo se,
aksar kaamo mei'n mushkil parh jana,
dil mei'n safai na rehna,
dil mei'n or baazi dafa'a tamam badan mei'n kamzori ho jana,
ta'at se mehroom rehna,
umar ghatt jana,
tauba ki taufeeq na hona,
kuch dino mei'n gunah ki buraai dil se jaati rehna,
ALLAH ta'ala ke nazdeek zaleel ho jana,
dusri makhlooq ko uspar nuksan pahuchana, or uss wajah se uss par lanat karna,
aqal mei'n fittor ho jana,
Rasool (s.a.w) ki taraf se uss par laanat hona,
farishto ki dua se mehroom rehna,
paidawaar mei'n kami hona,
sharm or gairat ka khatm hona,
ALLAH ta'ala ki barhaai uske dil se nikal jana,
ne'amato ka chinn jana,
balaao ka hujoom hona,
uss par shaitan ka muqarrar ho jana,
dil ka preshan rehna,
marte waqt muhh se kalma na nikalna,
khuda ki rehmat se mayoos hona, or uss wajah se be tauba marr jana...



Share Please...



Friday, July 20, 2018

Ba'aze bade bade gunaho'n ka bayan jinn par bahut sakhti aai hai.

Hadees / Hadith

Islam ki sachi batein

Bayan


Khuda se shirk karna,
naahaq khoon karna,
wo aortei'n jinke aulad nahi hoti kisi ke sanwara mei'n baaze aise totke karti hai ki ye bacha marr jaye or hamare aulaad ho ye bhi ussi khoon se dakhil hai,
maa baap satana,
zinnah karna,
yateemo'n ka maal khana, jaise aksar aorte khawind ke tamam maal wa jayedaad par kabza karke chote bacho ka hissa urhati hai larkiyo ko hissa miraaz ka na dena,
kisi aorat ko zara se shubha mei'n zinnah ki tohmat lagana, 
zulm karna,
kisi ko uske baddi se yaad karna,
khuda ne'amat se na ummeed hona,
wada karke poora na karna,
amaanat mei'n khayanat karna,
khuda ka koi farz masl namaz roza hajj zakaat chorh dena,
quran sharif parhker bhula dena,
jhuth bolna,
khususan jhuthi qasmei'n khana, 
khuda ke siwa or kisi ki qasam khana,
ya uss tarah khana ki marte waqt kalma naseeb na ho,
imaan par khatma na ho,
khuda ke siwa kisi or ko sajda karna,
bina uzl namaz kaja'a karna,
ya kisi musalman ko kafir ya be imaan wa khuda ki maar ya khuda ki pathkaar khuda ka dushman wagairah kehna,
kisi ka gila shikwa sunna,
chori karna byaj lena,
anaaj ke girane se khush hona,
mol chipka kar piche zabardasti se kamm dena,
gair mehram ke paas tanhaaimei'n baithna,
jua'n khelna,
baazi aorte or larkiya badd badd ke gitte ya koi or khel khelti hi ye bhi jua hai,
kafiro'n ki rasmei'n pasand karna,
khane ko bura kehna,
naach dekhna,
raag baaj asunna,
qudrat hone par naseehat na karna,
kisi se maskhara pann karke be hurmat or sharmind karna,
kisi pe eib dhundna-


Share please


Sunday, June 17, 2018

5 AADMIYO'N KE BARABAR KOI NAHI ROYA

Riwayet hai ki 5 aadmiyo'n ke barabar koi nahi roya

1. Pehle hazrat ADAM (a.s.)

 Jab gehu khane se jannat se baher aaye
200 baras barabar rote rahe
yaha tak ki gaohar dandaan dono rukhsaro'n se nazar aate the


2. Hazrat YAQOOB (a.s.)

Firaq (gham) mei'n YUSUF (a.s.) ke itna roye ki ankhei'n safed ho gayi


3. Hazrat YUSUF (a.s.)

Qaid khane mei'n


4. Hazrat FATMA ZEHRA (r.a.)

Firaaq pidar ( baap ke gham ) mei'n itna royi ki
Ahle Madina Shab-o_roz ( raat din )
Aah jigar sooz se unke tang ho gaye
Tab Hazrat SAIYEDA (r.a) ne JANNATUL BAQI mei'n ek masjid banai
Jiska naam Baitul kharaan hai
Logo'n se matohash hokar whi raha karti thi
Or waha jitna chahti Firaq Pidar mei'n roya karti thi


5. Hazrat ZAINUL AABDEEN ( r.a.)

Baad shahaadat apne pidar buzurgwar Hazrat IMAM HUSSAIN ( r.a.)
Ke 40 roz jeete rahe
Tanhaai or musibat pidar buzurgwar ko yaad karke
Khoon jigar peete rahe
Isi waqt rona taraq nahi kiya
Or kabhi bagair roye paani nai piya
Jab khana aage aata baap ki bhookh yaad krke
Itna roye ki
Khana aansuwo'n mei'n doob jaata
Kabhi kabhi sair hokar paani na peete
Khoone jigar pee pee kar jeete
Log arz karne lage
Hazrat aapko api jaan pyari nahi
Itna Q rote hai sabr kijiye
Is qadar Q beqarar hotte hai...

PLEASE SHARE

Saturday, June 16, 2018

PESHAB KI CHEETO'N SE NA BACHNE SE OR CHUGAL KHORI KARNE KA AZAAB

HAZRAT IBNE ABBAS (ra) se rawayet hai ki


HUZOOR (s.a.) 2 qabro'n ke paas se guzre
Jinko azaab ho raha tha
Aapne farmaya in dono ko azab ho raha hai
Or kisi barhi baat ke bare mei'n azaab nahi ho raha hai


Yu'n nahi, barhi baat hai
Unme se ek to chugli kiya karta tha
Or dusra peshab ki cheeto'n se ehtiyaat nahi karta tha


Apne se niche wale ko dekho

Hazrat ABBU HURAIRA (r.a) se riwayet hai ki


RASOOL (s.a.) ne farmaya tum duniyavi khush haali mei'n
Apne se niche wale ko dekho
Apne se Uche wale ko na dekho
Ki yeh tumhara liye zyada behtar hai
taaki hum par ALLAH ki Jo ne'amate hai
Unko haqeer na samjho

( BUKHARI SHAREEF)



PLEASE SHARE



Friday, June 15, 2018

Mustafa (sa) Ki Pyari Batei'n

PYAARE NABI (sa) KI PYARI BATEI'N HAME BAHUT ACHI LAGTI HAI UNHE YAAD RAKHNE OR UNKE BTAYE HUE RASTE PAR CHALNE KI KOSHISH KARNA CHAHIYE KUCH BATEI'N AAP BHI SUNIYE----- ;


  • Bache jannat ke phool hai.
  • Jis ghar mei'n bache nahi us ghar mei'n barkat nahi.
  • Har musalman men & women par ilm hasil karna wajib hai.
  • Paida hone se marne tak ilm hasil karei'n.
  • Jisse ilm seekho uski izzat karo.
  • Jahil se barh kar koi mohtaj nahi aur ilm se barh kar koi daulat nahi.
  • Barho'n buzurgo'n ki izzat kro or chhoto'n se pyar karo , jo aisa na kare wo humme se nahi.
  • Jannat maa ke qadmo'n mei'n hai.
  • Allah ki khushi baap ki khushi mei'n hai , Allah ki narazgi baap ki Narazgi mei'n hai.
  • Barhe bhai ka rautba baap jaisa hota hai.
  • Bazaar mei'n khana barhi nalayeki hai.
  • Mez ke samne baith kar na khao.
  • Jo apne liye pasand karo wahi dusro'n ke liye pasand karo.
  • Bure sathi se akela rehna behtar hai.
  • Salam kiya karo isse mohabbat barhegi.
  • Kuch dekar wapas lene wala is kutte jaisa hai jo ulti karke chaat ta hai.
  • Jhuth se aadmi ka muh kala hota hai.
  • Sach bolo chahe apna nuqsan q na hon jaye.
  • Andhe ko ghalat rasta batane wale par lanat hai.
  • Chugal khor jannat mei'n nahi jayega.
  • Jo kisi bird ko khel ke taur par marega qayamat ke din wo bird iske khilaf faryaad karegi.
  • Namaz theek waqt par Adda karro.
  • Namaz mei'n apni safo'n ko sidha karo.
  • Kaho ki mai imaan laya or phir isi par jame raho.
  • Hamare nabi (sa) Akhiri nabi hai.
  • Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mere rab ne mujhe 9 (nine) bato'n ka hukhum diya hai.

  1. Khule Chipe har haal mei'n ALLAH se daro.
  2. Kisi se khush ho ya na ho raho, har haal mei'n insaf ki baat karo.
  3. Nadari ho ya khush hali kisi haal mei'n hadd se na barho.
  4. Jo rishta tore usse jurho matlab jo mujhse kate usse milo.
  5. Jo mujhe na de mai ise du'n.
  6. Jo Mujh par zulm kare mai ise maaf kar du'n .
  7. Chup baitho toh kuch soch vichar kiya karo.
  8. Baat karo toh ALLAH ki baat karo.
  9. Kuch dekho toh isse nasihat hasil karo or {aam taur} par bhalaai ka hukhm do, zahir hai in bato'n ko ham tak pahuchae ka matlab hi ye hai ki ALLAH ta'ala ne hame bhi in bato'n ka hukhm diya h....



Or jo hadees sunker aage pahuchaye Allah usse jannat mei'n aa'ala se aa'ala mukaam hasil kare... Ameen

Wednesday, June 13, 2018

HUZOOR PAK (s.a) KI PEHLI MERAJ

                  Huzoor Pak (s.a.) Ki Meraj



Aap (s.a.) ki umr sharif 51 baras kuch mahine thi ki nabuat ke 11ve saal rajab ki 27 tarikh ko raat ke waqt jab aap hazrat ummeh hanih (r.a.) ke ghar mei'n aram farma rahe the hazrat jibrail (a.s.) ne aaker aapko jagaya or meraj ki khush khabri sunai...





     Fir ek tez raftaar sawari par jiska naam burraq tha Aap (s.a.) ko sawaar karke awwal baitul muqaddas le gaye. Jaha'n par aapne tamam nabiyo'n se mulaqat farmai. Fir waha'n se tamam aasmano'n ko taye karte hue, or dozakh wa jannat ke ajaayebaat dekhte hue ALLAH rabbul a'alameen ke darbaar-e-aali me pahuche ALLAH ta'ala ne aapko apni hum kalami ka sharf bakhsha or usi shab mei'n aapki ummat par namaz farz hui. Fir ussi sawari par sawar hokar wapas tashrif laye, or ye sab palak jhapakte ho gaya, jab aapne subah ko meraj ka haal sunaya toh kafiro'n ne khoob mazaak urhaya ki MOHAMMAD (s.a.) ko dekho ! (nauzbillah) ye aasmaan pe gaye the. Inhone dozak jannat ko dekha baitul muqaddas ki sair ki ''wah khoob'' ! ye ek minute mei'n sab kuch kar aaye, Lekin baaz kuch aadmiyo'n ne waqaya ki tasdeeq ke liye baitul muqaddas or uske raste ke muta'aliq mukhtakif sawalaat kiye jiska jawab huzoor (s.a.) ne bilkul theek theek de diya tab wo lajawab hue, lekin us per bhi jinke dil mei'n kaji thi unhone jadugari batlaai or baa'az khamosh ho gaye hazrat ABU BAKAR (r.a.) ne Huzoor (s.a.) se meraj ke tamam waqyaat sunker AMANNA WASADAQNA kaha, or har baat ke sahi hone ka dil se iqrar kiya usper Aap (s.a.) ne unko SIDDIQUE ka laqab ata'a farmaya...