wo aortei'n jinke aulad nahi hoti kisi ke sanwara mei'n baaze aise totke karti hai ki ye bacha marr jaye or hamare aulaad ho ye bhi ussi khoon se dakhil hai,
maa baap satana,
zinnah karna,
yateemo'n ka maal khana, jaise aksar aorte khawind ke tamam maal wa jayedaad par kabza karke chote bacho ka hissa urhati hai larkiyo ko hissa miraaz ka na dena,
kisi aorat ko zara se shubha mei'n zinnah ki tohmat lagana,
zulm karna,
kisi ko uske baddi se yaad karna,
khuda ne'amat se na ummeed hona,
wada karke poora na karna,
amaanat mei'n khayanat karna,
khuda ka koi farz masl namaz roza hajj zakaat chorh dena,
quran sharif parhker bhula dena,
jhuth bolna,
khususan jhuthi qasmei'n khana,
khuda ke siwa or kisi ki qasam khana,
ya uss tarah khana ki marte waqt kalma naseeb na ho,
imaan par khatma na ho,
khuda ke siwa kisi or ko sajda karna,
bina uzl namaz kaja'a karna,
ya kisi musalman ko kafir ya be imaan wa khuda ki maar ya khuda ki pathkaar khuda ka dushman wagairah kehna,
kisi ka gila shikwa sunna,
chori karna byaj lena,
anaaj ke girane se khush hona,
mol chipka kar piche zabardasti se kamm dena,
gair mehram ke paas tanhaaimei'n baithna,
jua'n khelna,
baazi aorte or larkiya badd badd ke gitte ya koi or khel khelti hi ye bhi jua hai,
kafiro'n ki rasmei'n pasand karna,
khane ko bura kehna,
naach dekhna,
raag baaj asunna,
qudrat hone par naseehat na karna,
kisi se maskhara pann karke be hurmat or sharmind karna,
Qabro'n par dhoom dhaam se mela lagana,
Chiraga jalana, aorto'n ka waha jana,
chadre daalna,
pokhrta qabrei'n banana,
buzurgo ke raazi karne ko qabro'n ki hadd se zyada tazeem karna,
taaziya ya qabro'n ko choomna chaatna,
khaak malna,
tawaf karna,
sajda karna,
qabro'n ki taraf namaz parhna,
mithaai chawal gulgule wagairah charhana,
taaziya alam wagairah rakhna,
iss par halua maleeda charhana ya issko salam karna,
kisi cheez ko achooti samajhna,
muharram ke mahine mei'n paan na khana,
mehndi missi na lagana,
mard ke paas na rehna,
laal kapra na pehenna,
biwi ke sahenk mardo ko na khane dena,
teeja chaleeswa wagairah ko zaroori samajhna,
bawjood zaroorat ke aorat ke dusre nikah ko mayoob samajhna,
nikah khatna bismillah wagairah mei'n agar chah basa'at na ho magar khaandani rasmei'n karna,
khususan qarz wagairah karke naach rang wagairah karna holi diwali ki ismei'n karna,
salam ki jagah bandagi wagairah karna ya sirf sir pe hath rakh kar jhuk jana,
devar, jheth, fuffi zaat, khala zaat bhai ke samne be mahaba aana ya or kisi na mehram ke samne aana,
gharha dariya ser gaate bajate laana,
raag baaja or gaana sunna,
domniyo wagairah ko nachana or dekhna iss par khush hona iss par khush hokar unko inam dena,
naseeb par faqr karna,
kisi buzurg se mansoob hone ko nijaad ke liye kafi samajhna,
kisi ke naseeb par kusr se tayen karna,
hadd se zyada kisi ki tareef karna,
shadiyo'n mei'n fizool kharchi or khurafat batei'n karna,
hinduo'n ki rasmei'n karna,
dulha ko khilaaf shara'a poshaaq pehnana,
kangna sehra pehnana,
mehndi lagana, aatish baazi karna,
fizool arayesh karna,
ghar ke andar aorto ke darmiya dulhe ko bulana or samne ajana,
taak jhaank kar usko dekhna,
syaani samajhdar saaliyo wagairah ka samne aana isse hassi dil lagi karna,
chauthi khelna,
jiss jagah dulha dulha lete ho uske gird jama hokar batei'n sunna,
jhaank taakna,
agar koi baat maloom ho jaye toh usko aoro'n se kehna,
maanjhe baithna,
or asis sharm karna jisse namaze kazza karna,
ghami mei'n chillake rona,
muhh or seena peetna, bayan karke rona,
istemaali gharhe torh daalna,
jo jo kapre uske badan se lage ho sabka dhulwana,
baras roz tak ya kuch zyada iss achaar na parhna,
koi khushi ki tarqeeb na karna,
maqsoos tareekho'n mei'n fir gham ka taaza karna,
hadd se zyada zeb wa zeenat mei'n masgool hona,
saadi waja'a ko mayoob janna,
makaan mei'n tasveer lagana,
khaas daan, atar daan, sarmadaani salaai wagairah chandi sone ki istemaal karna,
bahut bareeq kapra pahenna ya bajta zevar pahenna, lehnga pahenna,
ya mardo'n ke majma'a mei'n jaana,
taaziya dekhne or mele mei'n jana,
or mardo'n ki gazza ikhtiyaar karna,
badan godana,
khudai raat karna,
ya totka karna mehez zeb wa zeenat ke liye deewar giri ya chatt giri lagana,
safar ko jaate ya laotte waqt gair mehram ke gale lagna ya lagana,
jeene ke liye larke ka kaan naak chedna,
larke ko baala ya bulaaq pehnana,
reshmi qusm ya zafraan ka ranga hua kapra hatheli ghungru ya koi or zewar pehnana,
kamm rone ki liye afiyoom khilana,
kisi bimari mei'n sher ka doodh ya uska gosht khilan,
iss qism ki or bahut si batei'n hai,
bataor namuna ke itni bayan kardi gayi...-
Kufr ko pasand karna, kufr ki bato'n ka acha janna kisi dusre se kufr ki koi baat karna-
kisi wahjah se apne imaan pashemaan hona ki agar musalmaan na hote toh falaani baat hasil ho jati aulaad wagairah kisi ke marr jane par ranj mei'n iss qism ki bate kehna, khuda ko bass isi ko marna tha, duniya bhar mei'n maarne ke liye bass yhi tha , khuda ko aisa na karna chahiye tha, aisa zulm koi nahi karta jaisa tune kiya -
Khuda or Rasool ke kisi huqm ko bura samjhna us mei'n eib lagana, kisi nabi ya farishte ki hakarat karna or unko eib lagana, kissi buzurg ya peer ke sath ye aqeeda rakhna ki ye hamare sab haal ki iskop zroor khabar rehti hai, najoomi pandit ya jiss parr jinn charha ho usse gayeb ki khabrei'n puchna ya faal khulwana fir usko sach janna kisi buzurg ke kalam se faal dekh kar usko yqeeni samajhna,
Kisi ko door se pukarna or ye samajhna ki Usko khabar hogi Kisi ko nafa nuqsan ka mukhtar samajhna kisi se muradei'n mangna rozi aulaad mangna, kisi ke naam ka roza rakhna kisi ko sajda karna, kisi kke naam ka janwar chorhna, ya charhawa charhana, kisi ke naam ki minnat maangna, kisi ke qabr ya makaan ka tawaaf karna khuda ke huqm ke muqbla mei'n kisi dusri baat ya rasm ko makhdam rakhna kisi ke samne jhukna, ya tasweer ki tarah kharha rehna, top par bakra charhana,, kisi ke naam par janwar jabah karna, jinn bhoot paret wagiarah ke chorh dene ke liye unki bhent dena, bakra wagairah zabah karna, bache ke jeene ke liye, uske naar ka poojna, kisi ki duhaai dena, kisi jagah ka ka'aba ke barabar adab wa tazeem karna, kisi ke naam par bache ke kaan naak chedna, baali or bulaaq pahenna, kisi ke naam ka baazu par paisa baandhna ya gale mei'n naara daalna sehra baandhna chotti rakhna, baddhi pehnaana, faqeer banana, alli bakhsh hussain bakhsh abdul nabi wagairah naam rakhna, kisi janwar par kisi buzurg ka naam lagakar uska adab karna, alam ke karobaar ko sitaaro'n ki taseer samajhna, achi buri tareef or din ka puchna, shagun lena, kisi mahine ya tareekh ko manhoos samajhna, kisi buzurg ka naam bataor wazeefa ke japna yu'n kehna ki khuda or Rasool agar chahega toh falana kaam ho jayega, kisi ke naam ki ya sir ki qasam khana, jaandaar ki barhi tasveer rakhna, khususan kisi buzurg ki tasveer barqat ke liye rakhna or uski tazeem karna-
Janabe Rasool (s.a.w) ki aadat shareef ki thi ki fajr ki namaz parhkar apne yaar wa ashaab ki taraf mutawajjah hokar farmaya karte the ki tumme se raat ko kisi ne koi khwab toh nahi dekha agar koi dekhta toh arz kar diya karte the-
Aadat ke muafiq ek baar sabse pucha ki kisi ne koi khwab dekha hai sabne arz kiya koi nahi dekha, aapne farmaya ki maine aaj raat ek khwab dekha hai ki 2 shaks mere paas aaye or mera hath pakarh kar mujhko ek zameen muqaddas ki taraf le chale, dekhta kya hu ki ek shaks baitha hua hai or dusra khara hai or uske hath mei'n lohe ka zuboor hai, uss baithe hue ke kalle ko usse cheer raha hai yaha tak ki guddi tak ja pahunchta hai fir dusre kalle ke sath bhi yahi maamla kar raha hai or fir wo kalla uska durust ho jata hai, fir uske sath aisa hi karta hai, maine pucha ye kya baat hai,
Dono shaks bole aage chalo, hum aage chale yaha tak ki ek aise shaks par guzar hua jo leta hua hai or uske sir par ek shaks hath mei'n barha bhari pathar liye khara hai usse uska sir nihayet zor se forhta hai, jab wo pathar uske sir par de marta haui pathar lurak kar door ja girta hai, jab wo usko uthane ke liye jata hai toh, abtak laut kar uske pas nahi aa pata ki uska sir fir acha khasa jaisa tha waisa hi ho jata, or fir usko ussi tarah forhta- maine pucha yeh kya hai?
Wo dono bole aage chalo hum sab aage chale, yaha tak ki hum ek gaar par pahunchejo misl tanauwar ke tha, niche se fraq tha or upar se tang, us mei'n aag jal rahi thi or us mei'n bahut se bina kapro ke mard or aurat bhare hue hai, jis waqt wo aag upar ko uthtiuske sath wo sab uth jate yaha tak ki qareeb nikalne ke ho jate hai or fir jis waqt baith ti hai wo bhi niche chale jate hai,maine pucha ye kya hai ?
Wo bole aage chalo hum aage chale yaha tak ki ek khoob ki naher par pahunche uske beech mei'n ek shaks khara hai or naher ke kinare par ek shaks khara hai, or uske saame bahut se pathar pare hai, weh naher ke andar wala shaks naher ke kinaare ki taraf aata hai jiss waqt nikalna chahta hai, kinaare wala uss shaks ke muhh par ek pathar usse zor se maarta hai fir apni pehli jagah ja pahunchta hai, fir jab wo kabhi nikalna chahta hai, ussi tarah pathar maarkar usko hatha deta maine pucha ye kya hai?
Wo dono bole aage chalo- hum aage chale, yaha tak ki ek hare bhare baagh mei'n pahuche, uss mei'n ek barha darakht hai or uske niche ek burha aadmior bahut se bache baithe hai or darakht ke qareeb ek or shaks baitha hua hai, uske samne aag jal rahi hai wo usko dhaaoonk raha hai,fir wo donio mujhko charha kar darakht ke upar le gaye or ek darkht ke beech mei'n nihaayet umda ghar bann raha tha, uss mei'n le gaye, maine aisa ghar kabhi nahi dekha tha,
Us mei'n mard aorte jawan burhe or bache bahut se the fir usse baher laakar or upar le gaye waha ek ghar pehle se bhi umda tha, uss mei'n le gaye uss mei'n burhe or jawan the, maine un dono shakso se
kaha ki tumne mujhko tamam raat firaya ab batao ki yeh sab kya israar the.?
Unhone kaha ki wo shaks jo tumne dekha tha ki uske kalle cheere jaate hai wo shaks jhutha hai ki jhuthi bate kaha karta tha, or weh bate tamam jahaan mei'n mashoor ho jati, uske sath qayamat tak yuhi karte rahenge-
Or jisksa sir forhte hue dekha woh shks hai ki ALLAH ta'ala ne usko ilme quraan diya raat ko usse gaafil hokar so raha or din ko uss par aml na kiya qayamat tak uske sath yhi maamla rahega-
Or jinko tumne aag ke gaar mei'n dekha woh zina karne wale log hai, or jisko khoon ki naher mei'n dekha woh sood khane wala hai-
Or darakht ke niche jo burhe shaks the wo Hazrat ibraheem (a.s) haior unke ird gird jo bache dekhe wo log ki nabalig aulaad hai, or jo aag dhaoonk raha tha, woh malik daroga dozakh ka hai, or pehla ghar jiss mei'n aap dakhil hue woh aam musalmaano ka hai, or dusra ghar shaheedo ka hai-
Or mai jibraeel or yeh mikaeel hai, fir bole sir upar uthaao maine sir uthaya toh mere upar ek safed badal nazar aaya bole ki ye tumhara ghar hai, maine kaha mujhko chorho mai apne ghar mei'n daakhil hu, bole abhi tumhari umr baaqi hai poori nahi hui agar poori ho chukti toh abhi chale jate-
Fayda janna chahiye ki khwaab ambiya ka wahi hota hai, ye tamam waqaye sache hai iss hadees se kayi cheezo'n ka haal maloom hua
jhuth ki kaisi sakht saza hai,
aalim be aml ka,
zina ka,
Sood ka,
khuda sab musalmano ko unn kamo se mehfooz rakhe- (Ameen)
Rasool (s.a.w) ne ek martaba farmaya ki bani israil mei'n 3 aadmi the,
Ek kori tha, Doosra Ganja tha or teesra anddha, khuda vand ta'ala ne unko azmana chaha or unke paas ek farishta bheja,
pehle wo farishta kori ke paas aya or pucha tujhko kya cheez pyari hai usne kaha mujhe achi rangat or khoobsurat khaal mil jaye or ye blla jati rahe jisse log mujhe apne paas baithne nahi dete or ghin karte hai uss farishte ne apna hath uske badan par fer diya, ussi waqt wo changa ho gaya or achi khaal or khoobsurat rangat nikal aai, fir pucha kaun se maal se zyada ragbat hai usne kaha oont se bass ek gabhin ootni bhi usko dedi or kaha ALLAH ta'ala isme barqat de,
fir wo farishta ganje ke paas aya or usse pucha tujhko kaun c cheez pyaari hai usne kaha mere baal ache nikal aaye or ye balla mujhse jati rahe ki log jisse ghinn karte hai farishte ne apna hath uske sir pe fer diya wo fauran acha ho gaya or ache baal nikal aaye fir pucha tujhko kaun sa maal pasand hai usne kaha gaaye pss usko ek gabhin gaaye de di or kaha ALLAH ta'ala isme barqat baqshe,
fir woh farishta andhe ke paas aaya or pucha tujhko kya cheez chahiye, uss ne kaha ALLAH ta'ala meri nigah durust karde jisse mai sab aadmiyo'n ko dekh saku uss farishte ne aankho'n par haath fer diya ALLAH ta'ala ne uski nigah durust kardi fir pucha tujhko kya cheez pyaari hai, usne kaha bakri, pss usko ek gabhin bakri de di,
teeno ke janvaro ne bache diye thore dino mei'n uske oont se jungle bhar gaya, or uski gaayo se or uski bakriyo se,
fir wo farishta khuda ke huqm se uss pehli soorat mei'n kori ke paas aaya or kaha ki mai ek misqeen aadmi hu mere safar ka sab saman chuk (khtm) ho gaya hai aaj mere ghar pahunchne ko koi waseela nahi siwaye khuda ke or fir tera mai uss ALLAH ke naam par jisne tujhko achi rangat or umda ina'at farmaai tujhse mai oont mangta hu ki uss par sawar hokar mai apne ghar pahunch jaau, wo bola yaha se chal door ho mujhe or bahut se huqooq adda karne hai tere dene ki isme gunjaish nahi, farishte ne kaha shayed tujhko toh mai pehchanta hu kya tu kori nahi tha ki log tujhse ghinn karte or kya tu muflis na tha ? fir tujhko khuda ne iss qadar maal ina'at farmaya, usne kaha wah kya khoob yeh maal toh meri kayi pushto se baap dada ke waqt se chala aata hai, farishte ne kaha agar tu jhutha ho toh khuda tujhko waisa hi bana de jaisa pehle tha,
fir woh farishta ganje ke paas ussi pehli soorat mei'n aaya, or ussi tarah usse bhi sawal kiyaor usne bhi waisa hi jawab diya, farishte ne kaha agar tu jhutha ho toh khuda tujhko waisa hi karde jaisa pehle tha ,
fir farishta uss andhe ke paas ussi pehli soorat mei'n aaya or kaha mai musafir hu be samaan ho gaya hu aaj bajjuz khuda ke or fir tere koi mera waseela nahi hai, mai uske naam par jisne tujhe dobara tujhko igah bakhshi tujhse ek bakri maangta hu ki usse apni karyawahi karke safar poora karu, usne kaha beshaq mai andha tha khuda vand ta'ala ne mahez apni rehmat se mujhko nigah bakshi jitna tera jee chahe le ja or jitna chahe chorh ja khuda ki qasam kisi cheez se mai tujhko mana nahi karta, farishte ne kaha ki tu apna maal apne paas rakh mujhe kuch nahi chahiye, faqat tum teeno ki aazmaish manzoor thi so ho chuki khuda tujhse raazi hua or unn dono se naraaz-
Khyal rakhna chahiye ki inn dono ko nashukri ka kya nateeja mila ki tamaam ne'amate chinn gayi or jaise the waise hi re gaye, or khuda unse naraaz hua duniya or akhirat dono mei'n namurad rahe, or uss shaks ko shuqr ke wajah se kya aoz mila ki ne'amat behaal rahi or khuda usse khush hua or wo duniya or akirat dono shaad wa ba murad hua...
Hadees Abu Sayeed (r.a) kehte hai ki asharfi ko asharfi ke badle or dirham ko dirham ke badle lena jayez hai,
Unse kaha gaya ki Ibne Abbaas (r.a) toh iske pachh mei'n nahi yaani wo toh kam zyada karke bechne ke bhi pachh mei'n hai,
Toh Abu Sayeed Khudri (r.a) ne kaha ki maine Ibne Abbaas (r.a) se pucha tha, ki kya tumne aisa Nabi (s.a.w) se suna hai, ya ALLAH ki kitab (yani Qura'an) mei'n dekha hai ? Toh Ibne Abbaas (r.a) ne jawab diya ki mai inn dono mei'n se koi baat nahi kehta or tum Nabi (s.a.w) ki hadees mujhse zyada jante ho, lekin mujhe Usama (r.a) ne yeh btaya hai ki Nabi (s.a.w) ne farmaya sood toh udhaar hi mei'n hai....
(bukhari: 2178)
(sahih bukhari saffa: 610)
SHARE PLEASE और अगर आप इसे इंग्लिश में नही पड़ सकते तो नीचे दिए हुए वीडियो को देखे-👇