Wednesday, July 18, 2018

Kufr or shirk ki bato'n ka bayan-

Hadees/Hadith

Islam ki sachi kahaniyan

Bayan


Kufr ko pasand karna, kufr ki bato'n ka acha janna kisi dusre se kufr ki koi baat karna-

kisi wahjah se apne imaan pashemaan hona ki agar musalmaan na hote toh falaani baat hasil ho jati aulaad wagairah kisi ke marr jane par ranj mei'n iss qism ki bate kehna, khuda ko bass isi ko marna tha, duniya bhar mei'n maarne ke liye bass yhi tha , khuda ko aisa na karna chahiye tha, aisa zulm koi nahi karta jaisa tune kiya -

Khuda or Rasool ke kisi huqm ko bura samjhna us mei'n eib lagana, kisi nabi ya farishte ki hakarat karna or unko eib lagana, kissi buzurg ya peer ke sath ye aqeeda rakhna ki ye hamare sab haal ki iskop zroor khabar rehti hai, najoomi pandit ya jiss parr jinn charha ho usse gayeb ki khabrei'n puchna ya faal khulwana fir usko sach janna kisi buzurg ke kalam se faal dekh kar usko yqeeni samajhna,

Kisi ko door se pukarna or ye samajhna ki Usko khabar hogi Kisi ko nafa nuqsan ka mukhtar samajhna kisi se muradei'n mangna rozi aulaad mangna, kisi ke naam ka roza rakhna kisi ko sajda karna, kisi kke naam ka janwar chorhna, ya charhawa charhana, kisi ke naam ki minnat maangna, kisi ke qabr ya makaan ka tawaaf karna khuda ke huqm ke muqbla mei'n kisi dusri baat ya rasm ko makhdam rakhna kisi ke samne jhukna, ya tasweer ki tarah kharha rehna, top par bakra charhana,, kisi ke naam par janwar jabah karna, jinn bhoot paret wagiarah ke chorh dene ke liye unki bhent dena,  bakra wagairah zabah karna, bache ke jeene ke liye, uske naar ka poojna, kisi ki duhaai dena, kisi jagah ka ka'aba ke barabar adab wa tazeem karna, kisi ke naam par bache ke kaan naak chedna, baali or bulaaq pahenna, kisi ke naam ka baazu par paisa baandhna ya gale mei'n naara daalna sehra baandhna chotti rakhna, baddhi pehnaana, faqeer banana, alli bakhsh hussain bakhsh abdul nabi wagairah naam rakhna, kisi janwar par kisi buzurg ka naam lagakar uska adab karna, alam ke karobaar ko sitaaro'n ki taseer samajhna, achi buri tareef or din ka puchna, shagun lena, kisi mahine ya tareekh ko manhoos samajhna, kisi buzurg ka naam bataor wazeefa ke japna yu'n kehna ki khuda or Rasool agar chahega toh falana kaam ho jayega, kisi ke naam ki ya sir ki qasam khana, jaandaar ki barhi tasveer rakhna, khususan kisi buzurg ki tasveer barqat ke liye rakhna or uski tazeem karna-

Share Please




No comments:

Post a Comment