Monday, July 16, 2018

Islam ki sachi kahani part 4/4

Janabe Rasool (s.a.w) ki aadat shareef ki thi ki fajr ki namaz parhkar apne yaar wa ashaab ki taraf mutawajjah hokar farmaya karte the ki tumme se raat ko kisi ne koi khwab toh nahi dekha agar koi dekhta toh arz kar diya karte the-

Aadat ke muafiq ek baar sabse pucha ki kisi ne koi khwab dekha hai sabne arz kiya koi nahi dekha, aapne farmaya ki maine aaj raat ek khwab dekha hai ki 2 shaks mere paas aaye or mera hath pakarh kar mujhko ek zameen muqaddas ki taraf le chale, dekhta kya hu ki ek shaks baitha hua hai or dusra khara hai or uske hath mei'n lohe ka zuboor hai, uss baithe hue ke kalle ko usse cheer raha hai yaha tak ki guddi tak ja pahunchta hai fir dusre kalle ke sath bhi yahi maamla kar raha hai or fir wo kalla uska durust ho jata hai, fir uske sath aisa hi karta hai, maine pucha ye kya baat hai,

Dono shaks bole aage chalo, hum aage chale yaha tak ki ek aise shaks par guzar hua jo leta hua hai or uske sir par ek shaks hath mei'n barha bhari pathar liye khara hai usse uska sir nihayet zor se forhta hai, jab wo pathar uske sir par de marta haui pathar lurak kar door ja girta hai, jab wo usko uthane ke liye jata hai toh, abtak laut kar uske pas nahi aa pata ki uska sir fir acha khasa jaisa tha waisa hi ho jata, or fir usko ussi tarah forhta- maine pucha yeh kya hai?


Wo dono bole aage chalo hum sab aage chale, yaha tak ki hum ek gaar par pahunchejo misl tanauwar ke tha, niche se fraq tha or upar se tang, us mei'n aag jal rahi thi or us mei'n bahut se bina kapro ke mard or aurat bhare hue hai, jis waqt wo aag upar ko uthtiuske sath wo sab uth jate yaha tak ki qareeb nikalne ke ho jate hai or fir jis waqt baith ti hai wo bhi niche chale jate hai,maine pucha ye kya hai  ?

Wo bole aage chalo hum aage chale yaha tak ki ek khoob ki naher par pahunche uske beech mei'n ek shaks khara hai or naher ke kinare par ek shaks khara hai, or uske saame bahut se pathar pare hai, weh naher ke andar wala shaks naher ke kinaare ki taraf aata hai jiss waqt nikalna chahta hai, kinaare wala uss shaks ke muhh par ek pathar usse zor se maarta hai fir apni pehli jagah ja pahunchta hai, fir jab wo kabhi nikalna chahta hai, ussi tarah pathar maarkar usko hatha deta maine pucha ye kya hai?

Wo dono bole aage chalo- hum aage chale, yaha tak ki ek hare bhare baagh mei'n pahuche, uss mei'n ek barha darakht hai or uske niche ek burha aadmior bahut se bache baithe hai or darakht  ke qareeb ek or shaks baitha hua hai, uske samne aag jal rahi hai wo usko dhaaoonk raha hai,fir wo donio mujhko charha kar darakht ke upar le gaye or ek darkht ke beech mei'n nihaayet umda ghar bann raha tha, uss mei'n le gaye, maine aisa ghar kabhi nahi dekha tha,

Us mei'n mard aorte jawan burhe or bache bahut se the fir usse baher laakar or upar le gaye waha ek ghar pehle se bhi umda tha, uss mei'n le gaye uss mei'n burhe or jawan the, maine un dono shakso se
kaha ki tumne mujhko tamam raat firaya ab batao ki yeh sab kya israar the.?

Unhone kaha ki wo shaks jo tumne dekha tha ki uske kalle cheere jaate hai wo shaks jhutha hai ki jhuthi bate kaha karta tha, or weh bate tamam jahaan mei'n mashoor ho jati, uske sath qayamat tak yuhi karte rahenge-

Or jisksa sir forhte hue dekha woh shks hai ki ALLAH ta'ala ne usko ilme quraan diya raat ko usse gaafil hokar so raha or din ko uss par aml na kiya qayamat tak uske sath yhi maamla rahega-

Or jinko tumne aag ke gaar mei'n dekha woh zina karne wale log hai, or jisko khoon ki naher mei'n dekha woh sood khane wala hai-

Or darakht ke niche jo burhe shaks the wo Hazrat ibraheem (a.s) haior unke ird gird jo bache dekhe wo log ki nabalig aulaad hai, or jo aag dhaoonk raha tha, woh malik daroga dozakh ka hai, or pehla ghar jiss mei'n aap dakhil hue woh aam musalmaano ka hai, or dusra ghar shaheedo ka hai-

Or mai jibraeel or yeh mikaeel hai, fir bole sir upar uthaao maine sir uthaya toh mere upar ek safed badal nazar aaya bole ki ye tumhara ghar hai, maine kaha mujhko chorho mai apne ghar mei'n daakhil hu, bole abhi tumhari umr baaqi hai poori nahi hui agar poori ho chukti toh abhi chale jate-


Fayda janna chahiye ki khwaab ambiya ka wahi hota hai, ye tamam waqaye sache hai iss hadees se kayi cheezo'n ka haal maloom hua


  1. jhuth ki kaisi sakht saza hai,
  2. aalim be aml ka,
  3. zina ka,
  4. Sood ka,

khuda sab musalmano ko unn kamo se mehfooz rakhe- (Ameen)

Share Please...




No comments:

Post a Comment