Ek baar Hazrat Ummeh SALMA (r.a) ke paas kahi se kuch gosht aaya,
Janabe Rasool-e-Khuda (s.a.w) ko gosht bahut acha lagta tha isliye Hazrat Ummeh SALMA (r.a) ne apni khaadma se farmaya ki ye gosht taaq mei'n rakh de, shayed Hazrat nosh farmave, uss ne gosht taaq pe rakh diya itne mei'n ek sayel aaya or darwaze pe khare hokar awaaz di bhejo ALLAH ke naam par khuda barqat kare, ghar mei'n se jawab diya khuda tujhko bhi barqat kare, iss lafz mei'n yeh ishara hai ki koi cheez dene ki maujood nahi hai woh sayel chala gaya, itne mei'n Rasoollullah (s.a.w) tashreef laye or farmaya aye Ummeh SALMA tumhare paas khane ki koi cheez hai unhone kaha haa hai or khadma se kaha ja wo gosht aapke waste le aa-
wo gosht lene gayi dekhti kya hai ! waha gosht ka toh naam-o-nishaan hi nahi hai faqat ek safed patthar ka tukra rakha hai, aapne farmaya chunki tumne sayel ko a diya tha isliye wo gosht patthar ban gay-
Gaur kijiye ki khuda ke naam par na dene ki yeh nahoosat hui ki uss gosht ki soorat bigarh gayi or patthar ban gaya, issi tarah jo shaks sayel se bahana karke khud kha jata hai, wo pathar kha raha hai jiska yeh asar hai ki sang dilli or sakhti barhti chali jati hai, chunki Hazrat (s.a.w) ke ghar walo ke sath khuda wand kareem ki arhi inaayet or rehmat hai isliye gosht ki soorat khuli nigaaho mei'n badal di taaki uske iste'amaal se mehfooz rahe,
Share Please...
वीडियो को ज़रूर देखें
No comments:
Post a Comment