Rasool (s.a.w) ne ek martaba farmaya ki bani israil mei'n 3 aadmi the,
Ek kori tha, Doosra Ganja tha or teesra anddha, khuda vand ta'ala ne unko azmana chaha or unke paas ek farishta bheja,
pehle wo farishta kori ke paas aya or pucha tujhko kya cheez pyari hai usne kaha mujhe achi rangat or khoobsurat khaal mil jaye or ye blla jati rahe jisse log mujhe apne paas baithne nahi dete or ghin karte hai uss farishte ne apna hath uske badan par fer diya, ussi waqt wo changa ho gaya or achi khaal or khoobsurat rangat nikal aai, fir pucha kaun se maal se zyada ragbat hai usne kaha oont se bass ek gabhin ootni bhi usko dedi or kaha ALLAH ta'ala isme barqat de,
fir wo farishta ganje ke paas aya or usse pucha tujhko kaun c cheez pyaari hai usne kaha mere baal ache nikal aaye or ye balla mujhse jati rahe ki log jisse ghinn karte hai farishte ne apna hath uske sir pe fer diya wo fauran acha ho gaya or ache baal nikal aaye fir pucha tujhko kaun sa maal pasand hai usne kaha gaaye pss usko ek gabhin gaaye de di or kaha ALLAH ta'ala isme barqat baqshe,
fir woh farishta andhe ke paas aaya or pucha tujhko kya cheez chahiye, uss ne kaha ALLAH ta'ala meri nigah durust karde jisse mai sab aadmiyo'n ko dekh saku uss farishte ne aankho'n par haath fer diya ALLAH ta'ala ne uski nigah durust kardi fir pucha tujhko kya cheez pyaari hai, usne kaha bakri, pss usko ek gabhin bakri de di,
teeno ke janvaro ne bache diye thore dino mei'n uske oont se jungle bhar gaya, or uski gaayo se or uski bakriyo se,
fir wo farishta khuda ke huqm se uss pehli soorat mei'n kori ke paas aaya or kaha ki mai ek misqeen aadmi hu mere safar ka sab saman chuk (khtm) ho gaya hai aaj mere ghar pahunchne ko koi waseela nahi siwaye khuda ke or fir tera mai uss ALLAH ke naam par jisne tujhko achi rangat or umda ina'at farmaai tujhse mai oont mangta hu ki uss par sawar hokar mai apne ghar pahunch jaau, wo bola yaha se chal door ho mujhe or bahut se huqooq adda karne hai tere dene ki isme gunjaish nahi, farishte ne kaha shayed tujhko toh mai pehchanta hu kya tu kori nahi tha ki log tujhse ghinn karte or kya tu muflis na tha ? fir tujhko khuda ne iss qadar maal ina'at farmaya, usne kaha wah kya khoob yeh maal toh meri kayi pushto se baap dada ke waqt se chala aata hai, farishte ne kaha agar tu jhutha ho toh khuda tujhko waisa hi bana de jaisa pehle tha,
fir woh farishta ganje ke paas ussi pehli soorat mei'n aaya, or ussi tarah usse bhi sawal kiyaor usne bhi waisa hi jawab diya, farishte ne kaha agar tu jhutha ho toh khuda tujhko waisa hi karde jaisa pehle tha ,
fir farishta uss andhe ke paas ussi pehli soorat mei'n aaya or kaha mai musafir hu be samaan ho gaya hu aaj bajjuz khuda ke or fir tere koi mera waseela nahi hai, mai uske naam par jisne tujhe dobara tujhko igah bakhshi tujhse ek bakri maangta hu ki usse apni karyawahi karke safar poora karu, usne kaha beshaq mai andha tha khuda vand ta'ala ne mahez apni rehmat se mujhko nigah bakshi jitna tera jee chahe le ja or jitna chahe chorh ja khuda ki qasam kisi cheez se mai tujhko mana nahi karta, farishte ne kaha ki tu apna maal apne paas rakh mujhe kuch nahi chahiye, faqat tum teeno ki aazmaish manzoor thi so ho chuki khuda tujhse raazi hua or unn dono se naraaz-
Khyal rakhna chahiye ki inn dono ko nashukri ka kya nateeja mila ki tamaam ne'amate chinn gayi or jaise the waise hi re gaye, or khuda unse naraaz hua duniya or akhirat dono mei'n namurad rahe, or uss shaks ko shuqr ke wajah se kya aoz mila ki ne'amat behaal rahi or khuda usse khush hua or wo duniya or akirat dono shaad wa ba murad hua...
Share Please...
No comments:
Post a Comment