Friday, June 15, 2018

Mustafa (sa) Ki Pyari Batei'n

PYAARE NABI (sa) KI PYARI BATEI'N HAME BAHUT ACHI LAGTI HAI UNHE YAAD RAKHNE OR UNKE BTAYE HUE RASTE PAR CHALNE KI KOSHISH KARNA CHAHIYE KUCH BATEI'N AAP BHI SUNIYE----- ;


  • Bache jannat ke phool hai.
  • Jis ghar mei'n bache nahi us ghar mei'n barkat nahi.
  • Har musalman men & women par ilm hasil karna wajib hai.
  • Paida hone se marne tak ilm hasil karei'n.
  • Jisse ilm seekho uski izzat karo.
  • Jahil se barh kar koi mohtaj nahi aur ilm se barh kar koi daulat nahi.
  • Barho'n buzurgo'n ki izzat kro or chhoto'n se pyar karo , jo aisa na kare wo humme se nahi.
  • Jannat maa ke qadmo'n mei'n hai.
  • Allah ki khushi baap ki khushi mei'n hai , Allah ki narazgi baap ki Narazgi mei'n hai.
  • Barhe bhai ka rautba baap jaisa hota hai.
  • Bazaar mei'n khana barhi nalayeki hai.
  • Mez ke samne baith kar na khao.
  • Jo apne liye pasand karo wahi dusro'n ke liye pasand karo.
  • Bure sathi se akela rehna behtar hai.
  • Salam kiya karo isse mohabbat barhegi.
  • Kuch dekar wapas lene wala is kutte jaisa hai jo ulti karke chaat ta hai.
  • Jhuth se aadmi ka muh kala hota hai.
  • Sach bolo chahe apna nuqsan q na hon jaye.
  • Andhe ko ghalat rasta batane wale par lanat hai.
  • Chugal khor jannat mei'n nahi jayega.
  • Jo kisi bird ko khel ke taur par marega qayamat ke din wo bird iske khilaf faryaad karegi.
  • Namaz theek waqt par Adda karro.
  • Namaz mei'n apni safo'n ko sidha karo.
  • Kaho ki mai imaan laya or phir isi par jame raho.
  • Hamare nabi (sa) Akhiri nabi hai.
  • Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mere rab ne mujhe 9 (nine) bato'n ka hukhum diya hai.

  1. Khule Chipe har haal mei'n ALLAH se daro.
  2. Kisi se khush ho ya na ho raho, har haal mei'n insaf ki baat karo.
  3. Nadari ho ya khush hali kisi haal mei'n hadd se na barho.
  4. Jo rishta tore usse jurho matlab jo mujhse kate usse milo.
  5. Jo mujhe na de mai ise du'n.
  6. Jo Mujh par zulm kare mai ise maaf kar du'n .
  7. Chup baitho toh kuch soch vichar kiya karo.
  8. Baat karo toh ALLAH ki baat karo.
  9. Kuch dekho toh isse nasihat hasil karo or {aam taur} par bhalaai ka hukhm do, zahir hai in bato'n ko ham tak pahuchae ka matlab hi ye hai ki ALLAH ta'ala ne hame bhi in bato'n ka hukhm diya h....



Or jo hadees sunker aage pahuchaye Allah usse jannat mei'n aa'ala se aa'ala mukaam hasil kare... Ameen

No comments:

Post a Comment