Hadees
KHAAS QAYAMAT KE DIN KA ZIKR,,,
Jab soor foonkne se tamaam duniya fanah ho jayegi/ 40 baras is sunsaani halat mei'n guzar jayenge, fir haq ta'ala ke hukm se dusri baar soor fooka jayega or fir zameen aasmaan isi tarah qayem ho jayega, or murde qabro'n se zindah ho kar nikal parhenge or maidan-e-Qayamat mei'n ikatthe kar diye jayenge, or aaftaab bahut nazdeek ho jayega jiski garmi se dimag logo'n ke pakne lagenge, or jaise jaise logo'n ke gunah honge utna hi zyada paseena niklega or log uss maidaan mei'n bhooke pyaase kharhe-kharhe pareshan ho jayenge, jo neik log honge unke liye uss zameen ki mitti misl maide ki bana di jayegi usko khakar bhook ka ilaaj karenge or pyaas bujhaane ko hauze kausar par jayenge fir jab maidan-e-qayamat mei'n khare-khare dik ho jayenge uss waqt milkar awwal Hazrat ADAM (a.s) ke paas fir or nabiyo ke paas uss baat ki sifarish karaane ke liye jayenge ki hamara hisaab-o-kitaab or kuch faisla jaldi ho jaaye, sab paighambar kuch-kuch azr karenge or sifarish ka waada na karenge, sabke baad hamare paighambar (s.a.w) ki khidmatt mei'n haazir hokar wahi darkhwaast karenge, aap haq ta'ala ke hukm se qubool farma kar muqaame mehmood mei'n ki ek muqaam ka naam hai, tashreef le jashifa'at farmaayenge, haq ta;ala ka irshaad hoga ki humne sifarish qubool ki, ab hum zameen par apni tajalli farma kar hisaab kitaab kiye dete hai, awwal aasmaan se farishte bahut kasrat se utarna shuru honge or tamaam aadmiyo'n ko har taraf gher lenge, fir haq ta'ala ka arsh utrega, uss par haq ta'ala ki tajaali hogi,
Hisaab kitaab ka Waqt
Or fir hisaab kitaab shuru ho jayega or aamaal name urhaye jayenge imaan walo ke dahine haath mei'n or beimaano ke baaye'n haath mei'n wo khud bakhud aa jayenge or amaal taulne ki taraju khari ki jayegi, or pul siraat par chalne ka hukm hogga, jiski nekiya taol me'n zyada hongi wo ul siraat se paar hokar bahisht mei'n ja girega, or nekiya gunah barabar honge wo ek muqaam aaraaf jannat dozakh ke bich mei'n reh jayenge, or jiske gunah zyada honge wo dozakh mei'n ja girega, uske baad hmare paighambar (s.a.w) or dusre hazraat ambiya (a.s) or aalim or wali or shaheed or haafiz or neik bande gunah gaar logo ko baksh waane ke liye shifa'at karenge, unki shifa'at qubool hogi or jiske dil mei'n zara zahoor sa bhi imaan hoga wo dozakh se nikaal kar bahisht mei'n dakhil kar diye jayenge, ussi tarah jo log aaraaf mei'n honge wo bhi akhir ko jannat mei'n dakhil kar diye jayenge, or dozakh mei'n khaali wahi reh jayenge jo bilkul kaafir or mushriq hai, or aise logo ko kabhi dozakh se nikalna naseeb na hoga, jab sab jannati or dozakhi apne-apn thikaana ho jayenge, uss waqt Allah ta'ala jannat or dozakh ke bich mei'n maut ko ek mende ki soorat par zahir karke sab jannati or dozakhi ko dikh laaker usko zibah kar denge, or farmayenge ki ab jannati ko maut aayegi na dozakhiyo ko ayegi sabko apne-apne thikaane par hamesha hamesha ke liye rehna hai, uss waqt na jannatiyo ki khushi ki koi hadd hogi or na dozakhiyo'n ke sadme or ranj ki koi inteha hogi,
Share please...
Share please...